abhi gunah ka mausam hai aa shabab mein aa
nasha utarne se pahle meri sharab mein aa
dhanak si KHwab si KHushbu si phir baras mujh par
nai ghazal ki tarah tu meri kitab mein aa
uTha na der tak ehsan mausam-e-gul ka
main zindagi hun mujhe ji mere azab mein aa
wo mere lab ke parinde wo tera jhil-badan
bujha na pyas meri tu magar sarab mein aa
tere dariche se hai dur mera darwaza
agar tu dard hai mera to dil ke bab mein aa
main tujh ko jagti aankhon se chhu sakun na kabhi
meri ana ka bharam rakh le mere KHwab mein aa
Ghazal
Abhi gunah ka mausam hai aa shabab mein aa
Abdullah Kamal