abhi aur tez kar le sar-e-KHanjar-e-ada ko
mere KHun ki hai zarurat teri shoKHi-e-hina ko
tujhe kis nazar se dekhe ye nigah-e-dard-agin
jo duaen de rahi hai teri chashm-e-bewafa ko
kahin rah gai ho shayad tere dil ki dhaDkanon mein
kabhi sun sake to sun le meri KHun-shuda nawa ko
koi bolta nahin hai main pukarta raha hun
kabhi but-kade mein but ko kabhi kabe mein KHuda ko
Ghazal
Abhi aur tez kar le sar-e-KHanjar-e-ada ko
Ali Sardar Jafri