abhi abhi jo falak par se guzare gae
tumhaari aankh se aise kai sitare gae
tumhaare honT se nikle har ek lafz ki KHair
ki jaise un pe gulabon ke phul ware gae
kisi ne nind mein aa kar nahin chhua hum ko
ye baal KHwab mein rah kar nahin sanware gae
pahal pahal to wo honTon se dekhe jate rahe
phir us ke baad meri aankh se pukare gae
tere visal ki KHwahish kahin pe rakkhi gai
tere visal ke arse kahin guzare gae
magar wo lahr hamari taraf nahin palTi
agarche dhyan bahut us taraf hamare gae
tumhaare jaane se kuchh KHas to nahin hua bas
charagh rakkhe gae aaine utare gae

Ghazal
Abhi abhi jo falak par se guzare gae
Waseem Tashif