abhi aankhen khuli hain aur kya kya dekhne ko
mujhe pagal kiya us ne tamasha dekhne ko
wo surat dekh li hum ne to phir kuchh bhi na dekha
abhi warna paDi thi ek duniya dekhne ko
tamanna ki kise parwa ki sone jagne mein
mayassar hain bahut KHwab-e-tamanna dekhne ko
ba-zahir mutmain main bhi raha is anjuman mein
sabhi maujud the aur wo bhi KHush tha dekhne ko
ab us ko dekh kar dil ho gaya hai aur bojhal
tarasta tha yahi dekho to kitna dekhne ko
ab itna husn aankhon mein samae bhi to kyunkar
wagarna aaj use hum ne bhi dekha dekhne ko
chhupaya hath se chehra bhi us na-mehrban ne
hum aae the 'zafar' jis ka sarapa dekhne ko
Ghazal
Abhi aankhen khuli hain aur kya kya dekhne ko
Zafar Iqbal