abas hai raaz ko pane ki justuju kya hai
ye chaak-e-dil hai use hajat-e-rafu kya hai
ye aaine hain ki ham-chehra lashkaron ki safen
ye aks aks koi surat-e-adu kya hai
mushabahat ke ye dhoke mumasalat ke fareb
mera tazad liye mujh sa hu-ba-hu kya hai
main ek halqa-e-be-samt apne markaz par
ye shash-jahat hain kaise ye chaar-su kya hai
ye lahm o KHun ke kinae ye zehn ke uslub
mere wajud ka pairaya-e-numu kya hai
ye aasman se rag-e-jaan tak ek sargoshi
sukut-e-shab ka ye andaz-e-guftugu kya hai
ye rahguzar-e-nafas tangnae-mayusi
magar ye wusat-e-daman-e-arzu kya hai
hisar-e-jism o tilism-e-qaba aziz magar
nikal bhi aao meri jaan kabhu kabhu kya hai
KHayal kya hai jo alfaz tak na pahunche 'saz'
jab aankh se hi na Tapka to phir lahu kya hai
Ghazal
Abas hai raaz ko pane ki justuju kya hai
Abdul Ahad Saaz