ab zindagi ro ro ke guzarenge nahin hum
ye bojh to hai bojh utarenge nahin hum
tum KHud hi agar lauT ke aa jao to behtar
hargiz tumhein is bar pukarenge nahin hum
ek ishq ki bazi hi to hum haare hain us se
ai rah-e-talab hausla haarenge nahin hum
ye gesu-e-hasti ke sanwarne ki ghaDi hai
ab gesu-e-jaanan ko sanwarenge nahin hum
DhunDenge har ek chiz mein jine ki umangen
dil ki kisi KHwahish ko bhi marenge nahin hum
Ghazal
Ab zindagi ro ro ke guzarenge nahin hum
Farhat Nadeem Humayun