ab zamin-o-asman ke sab kinaron se alag
gaDh raha hun apni duniya in sitaron se alag
gard meri uD rahi hai chand-taron mein kahin
tarz us ne pai hai sab KHaksaron se alag
pattharon ko aaine mein qaid karne ka hunar
rah main ne ye nikali hai hazaron se alag
chand hi ab tum ko kah kar baat ko pura karun
kaun DhunDe lafz raij istiaron se alag
dar ye dil ka khul gaya hai KHud-ba-KHud hi aaj kyun
un ki nazron ne kiya hai kuchh ishaaron se alag
Ghazal
Ab zamin-o-asman ke sab kinaron se alag
Shadab Ulfat