ab ye sochun to bhanwar zehn mein paD jate hain 
kaise chehre hain jo milte hi bichhaD jate hain 
kyun tere dard ko den tohmat-e-virani-e-dil 
zalzalon mein to bhare shahr ujaD jate hain 
mausam-e-zard mein ek dil ko bachaun kaise 
aisi rut mein to ghane peD bhi jhaD jate hain 
ab koi kya mere qadmon ke nishan DhunDega 
tez aandhi mein to KHeme bhi ukhaD jate hain 
shaghl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log 
pattharon mein bhi kabhi aaine jaD jati hain 
soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath 
chand chehron ke KHad-o-KHal bigaD jate hain 
shiddat-e-gham mein bhi zinda hun to hairat kaisi 
kuchh diye tund hawaon se bhi laD jate hain 
wo bhi kya log hain 'mohsin' jo wafa ki KHatir 
KHud-tarashida usulon pe bhi aD jate hain
        Ghazal
Ab ye sochun to bhanwar zehn mein paD jate hain
Mohsin Naqvi

