ab ye hangama-e-duniya nahin dekha jata
roz apna hi tamasha nahin dekha jata
sair-e-hasti mein kahin aur bhi ghum aate hain
ek hi shahr-e-tamanna nahin dekha jata
KHunki-e-lams-e-rifaqat hi bahut hoti hai
dhup hamdam ho to saya nahin dekha jata
khol dete hain palaT aane pe darwaza-e-dil
aane wale ka irada nahin dekha jata
aasmanon mein bhi ek aisi kaman hai jis se
koi KHush-rang parinda nahin dekha jata
apne honTon pe bichha deta hun ek mauj-e-sarab
pyas aisi hai ki dariya nahin dekha jata
fart-e-wahshat mein kahin aur nikal aaya hun
ghar ka rasta hai ki sahra nahin dekha jata
meri jaanib bhi to ruKH kar kabhi ai shah-e-jamal
aaina mujh se ziyaada nahin dekha jata
Ghazal
Ab ye hangama-e-duniya nahin dekha jata
Tariq Naeem