ab ye aalam hai ki gham ki bhi KHabar hoti nahin
ashk bah jate hain lekin aankh tar hoti nahin
phir koi kam-baKHt kashti nazr-e-tufan ho gai
warna sahil par udasi is qadar hoti nahin
tera andaz-e-taghaful hai junun mein aaj kal
chaak kar leta hun daman aur KHabar hoti nahin
hae kis aalam mein chhoDa hai tumhaare gham ne sath
jab qaza bhi zindagi ki chaara-gar hoti nahin
rang-e-mahfil chahta hai ek mukammal inqalab
chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin
iztirab-e-dil se 'qabil' wo nigah-e-be-niyaz
be-KHabar malum hoti hai magar hoti nahin
Ghazal
Ab ye aalam hai ki gham ki bhi KHabar hoti nahin
Qabil Ajmeri