ab wo kahte hain muddaa kahiye
sochta hun ki 'naqsh' kya kahiye
zindagi zindagi se ruTh gai
hae ab kis ko aashna kahiye
hai taghaful ka kyun gila un se
aah-e-sozan ko na-rasa kahiye
apni kashti to Dub hi jati
azm-e-mohkam ko naKHuda kahiye
thartharahaT haya ki us ruKH par
raqs-e-nairangi-e-saba kahiye
khoi khoi hain dhaDkanen dil ki
phir mohabbat ki ibtida kahiye
ittifaqan ye aap ka milna
ek rangin hadsa kahiye
na-shanas-e-alam ho jo hasti
sach to ye hai ki be-maza kahiye
dushman-e-jaan to dushman-e-jaan hai
ghamgusaron ko 'naqsh' kya kahiye
Ghazal
Ab wo kahte hain muddaa kahiye
Mahesh Chandra Naqsh