ab un se aur taqaza-e-baada kya karta
jo mil gaya hai main us se ziyaada kya karta
bhala hua ki tere raste ki KHak hua
main ye tawil safar pa-piyaada kya karta
musafiron ki to KHair apni apni manzil thi
teri gali ko na jata to jada kya karta
tujhe to ghere hi rahte hain rang rang ke log
tere huzur mera harf-e-sada kya karta
bas ek chehra kitabi nazar mein hai 'nasir'
kisi kitab se main istifada kya karta
Ghazal
Ab un se aur taqaza-e-baada kya karta
Nasir Kazmi