ab TuTne hi wala hai tanhai ka hisar
ek shaKHs chiKHta hai samundar ke aar-par
aankhon se rah nikli hai tahtush-shuur tak
rag rag mein rengta hai sulagta hua KHumar
girte rahe nujum andhere ki zulf se
shab bhar rahin KHamoshiyan sayon se ham-kanar
diwar-o-dar pe KHushbu ke haale bikhar gae
tanhai ke farishton ne chumi qaba-e-yar
kab tak paDe rahoge hawaon ke hath mein
kab tak chalega khokhle shabdon ka karobar
Ghazal
Ab TuTne hi wala hai tanhai ka hisar
Adil Mansuri