ab tu ne gul na gulsitan hai yaad
usi mukhDe ki har zaman hai yaad
ham-nashin kah le qissa-e-majnun
hum ko bhi dil ki dastan hai yaad
ghuncha kaTe tha jis ko dekh ke lab
kyun saba tujh ko wo wahan hai yaad
mustaqil murgh-e-dil jo taDpe hai
kis ki sine mein par-fishan hai yaad
sabaq-e-girya ashk ko kya dun
aap hi is tifl ko rawan hai yaad
gul se kya muKHtalit hun ai bulbul
mujh ko wo aafat-e-KHizan hai yaad
aah ai charKH-e-pir, 'qaem' nam
yan jo rahta tha ek jawan hai yaad
Ghazal
Ab tu ne gul na gulsitan hai yaad
Qayem Chandpuri