اردو हिंदी
Ab to munh se bol mujhko dekh din bhar ho gaya | Shaahi Shayari
ab to munh se bol mujhko dekh din bhar ho gaya

Ghazal

Ab to munh se bol mujhko dekh din bhar ho gaya

Qamar Jalalvi

;

ab to munh se bol mujh ko dekh din bhar ho gaya
ai but-e-KHamosh kya sach-much ka patthar ho gaya

ab to chup ho bagh mein nalon se mahshar ho gaya
ye bhi ai bulbul koi sayyaad ka ghar ho gaya

iltimas-e-qatl par kahte ho fursat hi nahin
ab tumhein itna ghurur allahu-akbar ho gaya

mahfil-e-dushman mein jo guzri wo mere dil se puchh
har ishaara jumbish-e-abru ka KHanjar ho gaya

aashiyane ka bataen kya pata KHana-ba-dosh
chaar tinke rakh liye jis shaKH par ghar ho gaya

hirs to dekho falak bhi mujh pe karta hai sitam
koi puchhe to bhi kya un ke barabar ho gaya

soKHta dil mein na milta tir ko KHun ai 'qamar'
ye bhi kuchh mehman ki qismat se mayassar ho gaya