ab to KHud se bhi kuchh aisa hai bashar ka rishta
jaise parwaz se TuTe hue par ka rishta
koi khiDki bhi nahin ab to jo baqi rakhti
mere ghar se mere ham-sae ke ghar ka rishta
tum farishte hi sahi nazren na badlo yaro
kya farishton se nahin koi bashar ka rishta
moD aane do abhi samne aa jaega
kya hai aapas mein sharikan-e-safar ka rishta
tu mere chaak-gareban ko naya suraj de
joD jaun main dhundlakon se sahar ka rishta
mere hathon ki lakiren ye batati hain mujhe
pattharon hi se rahega mere sar ka rishta
sab ke chehron ki KHarashen hain nazar mein 'ghausi'
aainon se hai dil-e-aina-gar ka rishta
Ghazal
Ab to KHud se bhi kuchh aisa hai bashar ka rishta
Ghaus Mohammad Ghausi