ab to ek pal ke liye bhi na ganwaenge tumhein
KHud ko haarenge magar jit ke laenge tumhein
hum ko patthar ke pighalne ka amal dekhna hai
Dubte Dubte aawaz lagaenge tumhein
dil pe ek bojh hai kuchh soch ke Dar lagta hai
qissa-e-dard kabhi aur sunaenge tumhein
zahiri aankhen hamein DhunDh kahan paengi
chashm-e-baatin se jo dekho nazar aaenge tumhein
hain abhi pas bahut pas magar sach kahna
dur ho jaen to kya yaad na aaenge tumhein
Ghazal
Ab to ek pal ke liye bhi na ganwaenge tumhein
Rashid Anwar Rashid