اردو हिंदी
Ab to ashkon ki rawani mein na rakkhi jae | Shaahi Shayari
ab to ashkon ki rawani mein na rakkhi jae

Ghazal

Ab to ashkon ki rawani mein na rakkhi jae

Fazil Jamili

;

ab to ashkon ki rawani mein na rakkhi jae
us ki taswir hai pani mein na rakkhi jae

ek hi dil mein Thahar jaen hamesha ke liye
zindagi naql-e-makani mein na rakkhi jae

zinda rakhna ho mohabbat mein jo kirdar mera
saat-e-wasl kahani mein na rakkhi jae

yun to milte hain sabhi log bichhaDne ke liye
na-gahani ye jawani mein na rakkhi jae

bhul jaana hai to ai dost bhula de mujh ko
yaad ab yaad-dahani mein na rakkhi jae

jab koi ek kashish khinch rahi hai hum ko
kimiya falsafa-dani mein na rakkhi jae

dil bhi thoDa sa subuk-dosh-e-tamanna kar de
kuchh tabiat bhi girani mein na rakkhi jae