ab teri yaad se wahshat nahin hoti mujh ko
zaKHm khulte hain aziyyat nahin hoti mujh ko
ab koi aae chala jae main KHush rahta hun
ab kisi shaKHs ki aadat nahin hoti mujh ko
aisa badla hun tere shahr ka pani pi kar
jhuT bolun to nadamat nahin hoti mujh ko
hai amanat mein KHayanat so kisi ki KHatir
koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko
tu jo badle teri taswir badal jati hai
rang bharne mein suhulat nahin hoti mujh ko
aksar auqat main tabir bata deta hun
baz auqat ijazat nahin hoti mujh ko
itna masruf hun jine ki hawas mein 'shahid'
sans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko
Ghazal
Ab teri yaad se wahshat nahin hoti mujhko
Shahid Zaki