ab tak lahu ka zaiqa KHanjar pe naqsh hai
ye kis ka nam dast-e-sitam-gar pe naqsh hai
barish bhi aaftab ka daman na dho saki
kuchh gard ab bhi dhup ke shahpar pe naqsh hai
tera hi aks raat ke aaine mein asir
tera hi KHwab nind ke bistar pe naqsh hai
jis ko tere labon ka tasawwur na dho sake
wo talKHi-e-hayat bhi saghar pe naqsh hai
aangan se dastakon ki sada lauT aaegi
viraniyon ka nam har ek ghar pe naqsh hai
pani ki ye lakir nahin hai jo miT sake
shishe ki dastan to patthar pe naqsh hai
jakDa hua hai pichhle janam ke hisar mein
mazi ka saneha dil-e-'aKHtar' pe naqsh hai

Ghazal
Ab tak lahu ka zaiqa KHanjar pe naqsh hai
Sultan Akhtar