ab soch rahe hain yahan kya kya nahin dekha
nikle jo teri samt to rasta nahin dekha
tu ne kabhi aankhon se bahae nahin aansu
tu ne kabhi dariyaon ko bahta nahin dekha
phir yun hai ki suraj ko nahin jaanta wo shaKHs
jis ne mere aangan ka andhera nahin dekha
karte hain bahut baat ye virani-e-dil ki
un logon ne shayad mera huliya nahin dekha
go gardish-e-dauran mein hain din-raat magar yan
hai aisi siyahi ki sawera nahin dekha
us shaKHs ko aaya nahin milne ka saliqa
us shaKHs ne is sal bhi mela nahin dekha

Ghazal
Ab soch rahe hain yahan kya kya nahin dekha
Mohammad Mustahsan Jami