ab saliben shah-rahon par saja di jaengi
aks rah jaenge taswiren haTa di jaengi
baat karne ko taras jaenge arbab-e-wafa
bandishen itni zabanon par laga di jaengi
jin kitabon mein wafa ka zikr aaega nazar
sabr kije wo kitaben bhi jala di jaengi
aap aur tum ka tasawwur bhi fana ho jaega
jitni qadren hain adab ki sab miTa di jaengi
muntazir rahiye mohabbat ka payambar aaega
jitni shamen bujh chuki hain sab jala di jaengi
pi rahe hain jin mein 'gauhar' log insan ka lahu
aisi tamiron ki buniyaaden hila di jaengi
Ghazal
Ab saliben shah-rahon par saja di jaengi
Gauhar Usmani