اردو हिंदी
Ab nahin koi jabin mah-e-daraKHshan ki tarah | Shaahi Shayari
ab nahin koi jabin mah-e-daraKHshan ki tarah

Ghazal

Ab nahin koi jabin mah-e-daraKHshan ki tarah

Mahmood-ul-Hasan

;

ab nahin koi jabin mah-e-daraKHshan ki tarah
ab koi aankh nahin chashm-e-ghazalan ki tarah

ab kahin bhi nazar aate nahin aariz ke gulab
ab koi zulf kahan sumbul-o-raihan ki tarah

is bhare shahr mein ab koi zuleKHa hi nahin
ek chehra bhi nahin surat-e-jaanan ki tarah

kijiye bhi to kahan us ruKH-e-zeba ki talash
koi kucha hi nahin ku-e-nigaran ki tarah

zindagi ban gai ek soz-e-darun tere baghair
kaTe kaTti hi nahin hai shab-e-hijran ki tarah

le ke aai teri yaadon ke mahakte hue phul
koi mausam hi nahin fasl-e-bahaaran ki tarah

jaan-e-jaan meri wafaon ka sila do ki na do
kaun chahega tumhein is dil-e-nadan ki tarah