ab na wo shor na wo shor machane wale
KHak se baiTh gae KHak uDane wale
ye alag baat mayassar lab-e-goya na hua
dil mein wo dhum ki sunte hain zamane wale
kisi manzil ki taraf koi qadam uTh na saka
apne hi panw ki zanjir the jaane wale
dil sa wahshi kabhi qabu mein na aaya yaro
haar kar baiTh gae jal bichhane wale
din ki kajlai hui dhup mein kya dekhte hain
sham hote hi pareshan nazar aane wale
jalwa-e-husn saza-war-e-nazar ho na saka
kuchh nahin dekh sake aankh uThane wale
yaad-e-ayyam ke darwaze se mat jhank mujhe
aankh se dur na ho dil mein samane wale
teri qurbat mein guzare hue kuchh lamhe hain
dil ko tanhai ka ehsas dilane wale
inhi jhonkon se hai 'shahzad' chamak aankhon mein
yahi jhonke hain charaghon ko bujhane wale
Ghazal
Ab na wo shor na wo shor machane wale
Shahzad Ahmad