ab na wo shaKH hai na patthar hai
kab se jangal mein koi be-ghar hai
koi saya nazar nahin aata
jab se aankhon mein ek paikar hai
han kabhi ghumti rahi hogi
ab zamin be-niyaz-e-mehwar hai
zahr pine koi nahin aata
kitna be-tab ye samundar hai
ruTh kar chal diye nae rahi
sar jhukae khaDa sanobar hai
muD ke dekho to sang ho jao
aur aage baDho samundar hai
apna shisha liye kahan jaun
shahr ka shahr sara patthar hai
Ghazal
Ab na wo shaKH hai na patthar hai
Midhat-ul-Akhtar