اردو हिंदी
Ab motaqid-e-gardish-e-dauran na rahe hum | Shaahi Shayari
ab motaqid-e-gardish-e-dauran na rahe hum

Ghazal

Ab motaqid-e-gardish-e-dauran na rahe hum

Lalan Chaudhary

;

ab mo'taqid-e-gardish-e-dauran na rahe hum
qabil tere ai dida-e-jaanan na rahe hum

kab mil ke unhen dil ki tamannaen bar aain
kab un se juda ho ke pareshan na rahe hum

ye baat digar hai ki na the ru-ba-ru un ke
kab did ka dil mein liye arman na rahe hum

qismat to zara dekho kab aai hain bahaaren
jab qabil-e-gul-gasht-e-gulistan na rahe hum

saqi ki nigahon ne pila di hai kuchh aisi
jam-e-mai-e-gul-fam ke KHwahan na rahe hum

ab dard hi rahat si hamein dene laga hai
chaaragaro minnat-kash-e-darman na rahe hum

'afat' rah-e-ulfat mein hansi aai thi ek din
baad us ke kabhi zist mein KHandan na rahe hum