ab manzil-e-sada se safar kar rahe hain hum
yani dil-e-sukut mein ghar kar rahe hain hum
khoya hai kuchh zarur jo us ki talash mein
har chiz ko idhar se udhar kar rahe hain hum
goya zamin kam thi tag-o-taz ke liye
paimaish-e-nujum-o-qamar kar rahe hain hum
kafi na tha jamal-e-ruKH-e-sada-e-bahaar
zebaish-e-giyah-o-shajar kar rahe hain hum
Ghazal
Ab manzil-e-sada se safar kar rahe hain hum
Ahmad Mushtaq