ab kya bataen TuTe hain kitne kahan se hum
KHud ko sameTte hain yahan se wahan se hum
kya jaane kis jahan mein milega hamein sukun
naraaz hain zamin se KHafa aasman se hum
ab to sarab hi se bujhane lage hain pyas
lene lage hain kaam yaqin ka guman se hum
lekin hamari aankhon ne kuchh aur kah diya
kuchh aur kahte rah gae apni zaban se hum
aaine se ulajhta hai jab bhi hamara aks
haT jate hain bacha ke nazar darmiyan se hum
milte nahin hain apni kahani mein hum kahin
ghaeb hue hain jab se teri dastan se hum
gham bik rahe the mele mein KHushiyon ke nam par
mayus ho ke lauTe hain har ek dukan se hum
Ghazal
Ab kya bataen TuTe hain kitne kahan se hum
Rajesh Reddy