اردو हिंदी
Ab kisi KHwab ki tabir nahin chahta main | Shaahi Shayari
ab kisi KHwab ki tabir nahin chahta main

Ghazal

Ab kisi KHwab ki tabir nahin chahta main

Ahmad Ashfaq

;

ab kisi KHwab ki tabir nahin chahta main
koi surat pas-e-taswir nahin chahta main

chahta hun ki rifaqat ka bharam rah jae
ahd-o-paiman ki tafsir nahin chahta mein

hukm sadir hai to nafiz bhi karo mere huzur
faisle mein koi taKHir nahin chahta main

chahta hun tujhe guftar se qail kar lun
baat mein lahja-e-shamshir nahin chahta main

muddaa hai ki mera haq mujhe wapas mil jae
tere ajdad ki jagir nahin chahta main