ab kisi baat ka talib dil-e-nashad nahin
aap ki ain-inayat hai ye be-dad nahin
aap sharma ke na farmaen hamein yaad nahin
ghair ka zikr hai ye aap ki rudad nahin
dam nikal jaega hasrat hi mein ek din apna
sach kaha tum ne kuchh insan ki buniyaad nahin
pahle nale ko suna ghaur se phir hans ke kaha
aap ki sari hi banawaT hai ye fariyaad nahin
baad ustad ke hai KHatm ghazal 'beKHud' par
moajaza kahiye ise tab-e-KHuda-dad nahin
Ghazal
Ab kisi baat ka talib dil-e-nashad nahin
Bekhud Dehlvi