ab ki chaman mein gul ka ne nam o ne nishan hai
fariyaad-e-bulbulan hai ya shohra-e-KHizan hai
hum sair kar jo dekha ru-e-zamin ke upar
aasudgi kahan hai jab tak ye aasman hai
hum kya kahen zaban se aap hi tu sun rahega
shikwa tere sitam ka zalim jahan tahan hai
muddat hui ki mar kar main KHak ho gaya hun
jine ka bad-guman ko ab tak mere guman hai
holi ke ab bahane chhiDka hai rang kis ne
nam-e-KHuda tujh upar is aan ajab saman hai
makre se faeda kya rindon se kab chhupi hai
kya hajat-e-bayan hai jo kuchh hai sab ayan hai
rang-e-gulal munh par aisa bahaar de hai
jun aaftab-e-taban zer-e-shafaq nihan hai
kesar mein is tarah se aaluda hai sarapa
sunte the hum so dekha to shaKH-e-zafaran hai
aap hi mein dekh 'hatim' wahdat ke bich kasrat
tu ek o ek ja hai aur dil kahan kahan hai
Ghazal
Ab ki chaman mein gul ka ne nam o ne nishan hai
Shaikh Zahuruddin Hatim