ab KHun ko mai qalb ko paimana kaha jae
is daur mein maqtal ko bhi mai-KHana kaha jae
jo baat kahi jae wo tewar se kahi jae
jo sher kaha jae harifana kaha jae
har honT ko murjhaya hua phul samajhiye
har aankh ko chhalka hua paimana kaha jae
sunsan hue jate hain KHwabon ke jazire
KHwabon ke jaziron ko bhi virana kaha jae
waiz ne jo farmaya tha mehrab-e-haram mein
rindon se wo kyun saqi-e-mai-KHana kaha jae
tapte hue sahra mein bhi kuchh phul khilaen
kab tak lab-o-ruKHsar ka afsana kaha jae
hum subh-e-bahaaran ki tamazat se jale hain
hum se gul o shabnam ka na afsana kaha jae
diwana har ek haal mein diwana rahega
farzana kaha jae ki diwana kaha jae
maKHdum se hum ko bhi hai nisbat wahi 'manzur'
rindon mein jise nisbat-e-paimana kaha jae
Ghazal
Ab KHun ko mai qalb ko paimana kaha jae
Malikzada Manzoor Ahmad