ab KHanuman-KHarab ki manzil yahan nahin
kahne ko aashiyan hai magar aashiyan nahin
ishq-e-sitam-nawaz ki duniya badal gai
husn-e-wafa-shanas bhi kuchh bad-guman nahin
mere sanam-kade mein kai aur but bhi hain
ek meri zindagi ke tumhin raaz-dan nahin
tum se bichhaD ke mujh ko sahaara to mil gaya
ye aur baat hai ki main kuchh shadman nahin
apne hasin KHwab ki tabir KHud kare
itna to mo'tabar ye dil-e-na-tawan nahin
zulf-e-daraaz qissa-e-gham mein ulajh na jae
andesha-ha-e-ishq kahan hain kahan nahin
har har qadam pe kitne sitare bikhar gae
lekin rah-e-hayat abhi kahkashan nahin
sailab-e-zindagi ke sahaare baDhe chalo
sahil pe rahne walon ka nam-o-nishan nahin
Ghazal
Ab KHanuman-KHarab ki manzil yahan nahin
Baqar Mehdi