اردو हिंदी
Ab KHak to kiya hai dil ko jala jala kar | Shaahi Shayari
ab KHak to kiya hai dil ko jala jala kar

Ghazal

Ab KHak to kiya hai dil ko jala jala kar

Jurat Qalandar Bakhsh

;

ab KHak to kiya hai dil ko jala jala kar
karte ho itni baaten kyun tum bana bana kar

aashiq ke ghar ki tum ne buniyaad ko biThaya
ghairon ko pas apne har dam biTha biTha kar

ye bhi koi sitam hai ye bhi koi karam hai
ghairon pe lutf karna hum ko dikha dikha kar

ai but na mujh ko hargiz kuche se ab uThana
aaya hun yan talak main zalim KHuda KHuda kar

deta hun main idhar ji apna taDap taDap kar
dekhe hai wo udhar ko aankhen chura chura kar

koi aashna nahin hai aisa ki ba-wafa ho
kahte ho tum ye baaten hum ko suna suna kar

jalta tha sina mera ai shama tis pe tu ne
duni lagai aatish aansu baha baha kar

ek hi nigah kar kar sine se le gaya wo
har-chand dil ko rakkha hum ne chhupa chhupa kar

jurat ne aaKHir apne ji ko bhi ab ganwaya
in be-murawwaton se dil ko laga laga kar