ab ke us ne kamal kar Dala
ek KHushi se niDhaal kar Dala
chand ban kar chamakne wale ne
mujh ko suraj-misal kar Dala
pahle gham se nihaal karta tha
ab KHushi se nihaal kar Dala
ek haqiqat ke rup mein aa kar
mujh ko KHwab-o-KHayal kar Dala
dukh-bhare dil se dukh hi chhin liye
aur jina wabaal kar Dala
ek KHush-KHat se shaKHs ne 'haidar'
hum ko bhi KHush-KHayal kar Dala
Ghazal
Ab ke usne kamal kar Dala
Haidar Qureshi