اردو हिंदी
Ab ke jo yahan se jaenge hum | Shaahi Shayari
ab ke jo yahan se jaenge hum

Ghazal

Ab ke jo yahan se jaenge hum

Qayem Chandpuri

;

ab ke jo yahan se jaenge hum
phir tujh ko na munh dikhaenge hum

mushkil hai na aana tujh gali mein
par ye bhi sahi na aaenge hum

jo aage kaha kiye hain tujh se
so ab ke wo kar dikhaenge hum

aisa hi jo dil na rah sakega
Tuk dur se dekh jaenge hum

han kyun na milenge tujh se zalim
jab galiyen nit ki khaenge hum

aazurda ho ghair se laDo yan
is ohde se kab bar aaenge hum

jine hi se hath uThaenge lek
baaten na teri uThaenge hum

gar zist hai tujh talak to phir kya
sadqe tere mar hi jaenge hum

ab kuche mein tere hi pyare
kisi aur se ji lagaenge hum

jun chahiye chah ka sarishta
jite hain to kar dikhaenge hum

is par bhi agar milenge KHair
'qaem' hi na phir kahaenge hum