اردو हिंदी
Ab karb ke tufan se guzarna hi paDega | Shaahi Shayari
ab karb ke tufan se guzarna hi paDega

Ghazal

Ab karb ke tufan se guzarna hi paDega

Ejaz Rahmani

;

ab karb ke tufan se guzarna hi paDega
suraj ko samundar mein utarna hi paDega

fitrat ke taqaze kabhi badle nahin jate
KHushbu hai agar wo to bikharna hi paDega

paDti hai to paD jae shikan us ki jabin par
sachchai ka izhaar to karna hi paDega

har shaKHs ko aaenge nazar rang sahar ke
KHurshid ki kirnon ko bikharna hi paDega

main soch raha hun ye sar-e-shahr-e-nigaran
ye us ki gali hai to Thaharna hi paDega

ab shana-e-tadbir hai hathon mein hamare
haalat ki zulfon ko sanwarna hi paDega

ek umr se be-nur hai ye mahfil-e-hasti
'ejaz' koi rang to bharna hi paDega