اردو हिंदी
Ab kahan ja ke ye samjhaen ki kya hota hai | Shaahi Shayari
ab kahan ja ke ye samjhaen ki kya hota hai

Ghazal

Ab kahan ja ke ye samjhaen ki kya hota hai

Makhdoom Mohiuddin

;

ab kahan ja ke ye samjhaen ki kya hota hai
ek aansu jo sar-e-chashm-e-wafa hota hai

is guzargah mein is dasht mein ai jazba-e-ishq
juz tere kaun yahan aabla-pa hota hai

dil ki mehrab mein ek shama jali thi sar-e-sham
subh-dam matam-e-arbab-e-wafa hota hai

dip jalte hain dilon mein ki chita jalti hai
ab ki diwali mein dekhenge ki kya hota hai

jab barasti hai teri yaad ki rangin phuwar
phul khilte hain dar-e-mai-kada wa hota hai