ab jo dekha to dastan se dur
uTh raha tha dhuan chaTan se dur
dekhna kya makan ki jaanib
ab yahan baiTh kar makan se dur
hijr kis aankh ka sitara hai
raqs karta hai aasman se dur
zindagi ka koi hadaf to bana
dil koi said kar kaman se dur
jaanta hun zamin kis ki hai
baiTh jata hun saeban se dur
dil wo aatish-kada ki raushan hai
shahr-e-shiraaz o sherwan se dur
laD raha hun 'rasa' qabila-war
'mir'-o-'mirza' ke KHandan se dur
Ghazal
Ab jo dekha to dastan se dur
Rasa Chughtai