ab ja kar ehsas hua hai pyar bhi karna tha
pyar jo karna tha us ka izhaar bhi karna tha
awwal awwal kashti-e-jaan gharqab bhi hona thi
aaKHir aaKHir sanson ko patwar bhi karna tha
sab kuchh pana bhi tha hum ko sab kuchh khona bhi
jit bhi jaana tha phir jit ko haar bhi karna tha
sahraon ki KHak uDate andhe raston se
dariya tak bhi aana dariya par bhi karna tha
ek ujDa viran sa manzar dekh ke bahar ka
apne hathon har dar ko diwar bhi karna tha
narm mulaem chehre gahri nili aaankhon wale
tujh jaise be-mehr ko apna yar bhi karna tha

Ghazal
Ab ja kar ehsas hua hai pyar bhi karna tha
Shafiq Saleemi