اردو हिंदी
Ab ise kya kare koi aankhon mein raushni nahin | Shaahi Shayari
ab ise kya kare koi aankhon mein raushni nahin

Ghazal

Ab ise kya kare koi aankhon mein raushni nahin

Iqbal Azeem

;

ab ise kya kare koi aankhon mein raushni nahin
shahr bhi ajnabi nahin log bhi ajnabi nahin

hum ne ye soch kar kabhi jurat-e-arz ki nahin
shikwa ba-sad-KHulus bhi shewa-e-dosti nahin

yun to baDe KHulus se log hue hain ham-safar
rah mein sath chhoD den un se baid bhi nahin

pursish-e-haal ke siwa koi kare bhi kya magar
pursish-e-haal dosto tanz hai dosti nahin

bite hue KHushi ke din bhuli hui kahaniyan
aap ko yaad hon to hon hum ko to yaad bhi nahin