jo ab jahan-e-barhana ka istiara hua
main zindagi tera ek pairahan utara hua
siyah-KHun Tapakta hai lamhe lamhe se
na jaane raat pe shab-KHun hai kis ne mara hua
jakaD ke sanson mein tashhir ho rahi hai meri
main ek qaid sipahi hun jang haara hua
phir is ke baad wo aansu utar gaya dil mein
zara si der ko aankhon mein ek sharara hua
KHuda ka shukr meri tishnagi palaT aai
chali gai thi samundar ka jab ishaara hua
amir imam mubarak ho fath-e-ishq tumhein
ye dard-e-mal-e-ghanimat hai sab tumhaara hua
Ghazal
Ab is jahan-e-barhana ka istiara hua
Ameer Imam