ab iKHtiyar mein maujen na ye rawani hai
main bah raha hun ki mera wajud pani hai
main aur meri tarah tu bhi ek haqiqat hai
phir is ke baad jo bachta hai wo kahani hai
tere wajud mein kuchh hai jo is zamin ka nahin
tere KHayal ki rangat bhi aasmani hai
zara bhi daKHl nahin is mein in hawaon ka
hamein to maslahatan apni KHak uDani hai
ye KHwab-gah ye aankhen ye mera ishq-e-qadim
har ek chiz meri zat mein purani hai
wo ek din jo tujhe sochne mein guzra tha
tamam umr usi din ki tarjumani hai
nawah-e-jaan mein bhaTakti hain KHushbuen jis ki
wo ek phul ki lagta hai raat-rani hai
iradatan to kahin kuchh nahin hua lekin
main ji raha hun ye sanson ki KHush-gumani hai
Ghazal
Ab iKHtiyar mein maujen na ye rawani hai
Abhishek Shukla