ab harf-e-tamanna ko samaat na milegi
bechoge agar KHwab to qimat na milegi
tashhir ke bazar mein ai taza KHaridar
zebaishen mil jaengi qamat na milegi
lamhon ke taaqub mein guzar jaengi sadiyan
yun waqt to mil jaega mohlat na milegi
socha hi na tha yun bhi use yaad rakhenge
jab us ko bhulane ki bhi fursat na milegi
ta-umr wahi kar-e-ziyan ishq raha yaad
haalanki ye malum tha ujrat na milegi
tabir nazar aane lagi KHwab ki surat
ab KHwab hi dekhoge bashaarat na milegi
aaina-sifat waqt tera husn hain hum log
kal aaine tarsenge to surat na milegi
Ghazal
Ab harf-e-tamanna ko samaat na milegi
Pirzada Qasim