ab haqiqat lag raha hai mera afsana mujhe
sari duniya kah rahi hai tera diwana mujhe
main uTha to kaun honTon se lagaega unhen
muddaton DhunDa karenge jam-o-paimana mujhe
ye mohabbat ka asar hai ya mera diwana-pan
sehn-e-gulshan sa nazar aata hai virana mujhe
ai udasi kaun si manzil pe le aai hai tu
apna chehra bhi nazar aata hai begana mujhe
TuTe paimane shikasta jam aur tanhaiyan
apne ghar jaisa hi ab lagta hai mai-KHana mujhe
jite-ji arman ye 'sahil' na pura ho saka
mar ke shayad hi mayassar ho tera shana mujhe
Ghazal
Ab haqiqat lag raha hai mera afsana mujhe
Mohammad Ali Sahil