ab do-alam se sada-e-saz aati hai mujhe
dil ki aahaT se teri aawaz aati hai mujhe
jhaD kar gard-e-gham-e-hasti ko uD jaunga main
be-KHabar aisi bhi ek parwaz aati hai mujhe
ya samaat ka bharam hai ya kisi naghme ki gunj
ek pahchani hui aawaz aati hai mujhe
kis ne khola hai hawa mein gesuon ko naz se
narm-rau barsat ki aawaz aati hai mujhe
us ki nazuk ungliyon ko dekh kar aksar 'adam'
ek halki si sada-e-saz aati hai mujhe
Ghazal
Ab do-alam se sada-e-saz aati hai mujhe
Abdul Hamid Adam