ab apni ruh ke chhaalon ka kuchh hisab karun
main chahta tha charaghon ko aaftab karun
mujhe buton se ijazat agar kabhi mil jae
to shahar-bhar ke KHudaon ko be-naqab karun
us aadmi ko bas ek dhun sawar rahti hai
bahut hasin hai duniya ise KHarab karun
hai mere chaaron taraf bhiD gunge bahron ki
kise KHatib banaun kise KHitab karun
main karwaTon ke nae zaiqe likhun shab-bhar
ye ishq hai to kahan zindagi azab karun
ye zindagi jo mujhe qarz-dar karti rahi
kahin akele mein mil jae to hisab karun
Ghazal
Ab apni ruh ke chhaalon ka kuchh hisab karun
Rahat Indori