اردو हिंदी
Ab apni chiKH bhi kya apni be zabani kya | Shaahi Shayari
ab apni chiKH bhi kya apni be zabani kya

Ghazal

Ab apni chiKH bhi kya apni be zabani kya

Azra Parveen

;

ab apni chiKH bhi kya apni be zabani kya
mahz asiron ki mahsur zindagani kya

ruten jo tu ne utari hain KHub hongi magar
babul-sej pe sajti hai gul-fishani kya

hai jism ek tazadat ke kai KHane
karega par inhen ek rang-e-asmani kya

hazar karwaTen jhankar hi sunati hain
yun jhaTpaTane se zanjir hogi pani kya

zamin ke aur taqaze falak kuchh aur kahe
qalam bhi chup hai ki ab moD le kahani kya

ana to qaid ki tashhir se gurezan thi
pukar uTThi magar meri be-zabani kya

main KHushk naKHl si jangal tawil tez hawa
bikher degi mujhe bhi ye be-makani kya