اردو हिंदी
Ab aisi waisi mohabbat ko kya sambhaalun main | Shaahi Shayari
ab aisi waisi mohabbat ko kya sambhaalun main

Ghazal

Ab aisi waisi mohabbat ko kya sambhaalun main

Nomaan Shauque

;

ab aisi waisi mohabbat ko kya sambhaalun main
ye KHar-o-KHas ka badan phunk hi na Dalun main

gar ek dil se nahin bharta mere yar ka dil
to ek badan mein bhala kitne sanp palun main

na qabr ki hai jagah shahr mein na masjid ki
batao ruh ke kanTe kahan nikalun main

sadaqaton pe bura waqt aane wala hai
ab us ke kanpte hathon se aaina lun main

kai zamane mera intizar karte hain
zamin ruke to koi rasta nikalun main

main aankh khol ke chalne ki lat na chhoD saka
nahin to ek na ek roz KHud ko pa lun main

hazar zaKHm mile hain magar nahin milta
wo ek sang jise aaina bana lun main

suno main hijr mein qael nahin hun rone ka
kaho to jashn ye apni tarah mana lun main