ab agar ishq ke aasar nahin badlenge
hum bhi pairaya-e-izhaar nahin badlenge
raste KHud hi badal jaen to badlen warna
chalne wale kabhi raftar nahin badlenge
dur tak hai wahi aaseb ka pahra ab bhi
kya mere shahr ke atwar nahin badlenge
main samajhta hun sitare jo sahar se pahle
bujhne wale hain shab-e-tar nahin badlenge
gul badal jaenge jab mausam-e-gul bichhDega
jab KHizan jaegi to KHar nahin badlenge
log badlenge mafahim musalsal 'aghaz'
aur ye sach hai mere ashaar nahin badlenge
Ghazal
Ab agar ishq ke aasar nahin badlenge
Aghaz Barni